ghar se bāhar kabhī niklā kiije
'hashamī' galiyoñ meñ Tahlā kiije
husn bātoñ meñ bhī paidā kiije
sāmne aa.ina rakkhā kiije
kyuuñ kisī aur ko rusvā kiije
ab ke apnā hī tamāshā kiije
pahle ḳhud aap ko parkhā kiije
aur phir shikva-e-duniyā kiije
kahīñ suulī na samjhe le koī
apnī bāñhoñ ko na kholā kiije
sochiye phuul khilā hai kyā kyā
sūrat-e-sañg na dekhā kiije
itnī fursat bhī kise hai lekin
gāhe-gāhe hameñ pūchhā kiije
har koī muñh meñ zabāñ rakhtā hai
roktā kaun hai bolā kiije
ye bhī andāz hai ik chhupne kā
is qadar paas na aayā kiije
aane lagtī hai shikastoñ kī sadā
aise ḳhāmosh na baiThā kiije
rabt bhī rakhtā hai ma.anī apne
baat be-bāt na Tokā kiije
'hashamī' ġham ne phir añgḌā.ī lī
'hashamī' phir ġhazal inshā kiije
ghar se bahar kabhi nikla kije
'hashami' galiyon mein Tahla kije
husn baaton mein bhi paida kije
samne aaina rakkha kije
kyun kisi aur ko ruswa kije
ab ke apna hi tamasha kije
pahle KHud aap ko parkha kije
aur phir shikwa-e-duniya kije
kahin suli na samjhe le koi
apni banhon ko na khola kije
sochiye phul khila hai kya kya
surat-e-sang na dekha kije
itni fursat bhi kise hai lekin
gahe-gahe hamein puchha kije
har koi munh mein zaban rakhta hai
rokta kaun hai bola kije
ye bhi andaz hai ek chhupne ka
is qadar pas na aaya kije
aane lagti hai shikaston ki sada
aise KHamosh na baiTha kije
rabt bhi rakhta hai mani apne
baat be-baat na Toka kije
'hashami' gham ne phir angDai li
'hashami' phir ghazal insha kije
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment