mohabbat meñ jafā kyā hai vafā kyā
vo ye pūchheñ to shikvoñ kā mazā kyā
qayāmat se Darātī kyuuñ hai duniyā
qayāmat se hai kam un kī adā kyā
jahāñ tauhīn-e-arz-o-iltijā ho
vahāñ par arz kaisī iltijā kyā
baġhāvat aur phir in kī razā se
mohabbat meñ duā kyā mudda.ā kyā
kisī dasht-o-bayābāñ kī ik āvāz
hamāre sāz-e-hastī kī sadā kyā
mirī nazroñ se pūchho husn apnā
batā saktā hai tum se aa.ina kyā
ba-juz ashkoñ kī būñdeñ aur aaheñ
'jalīl' āḳhir mohabbat se milā kyā
mohabbat mein jafa kya hai wafa kya
wo ye puchhen to shikwon ka maza kya
qayamat se Daraati kyun hai duniya
qayamat se hai kam un ki ada kya
jahan tauhin-e-arz-o-iltija ho
wahan par arz kaisi iltija kya
baghawat aur phir in ki raza se
mohabbat mein dua kya muddaa kya
kisi dasht-o-bayaban ki ek aawaz
hamare saz-e-hasti ki sada kya
meri nazron se puchho husn apna
bata sakta hai tum se aaina kya
ba-juz ashkon ki bunden aur aahen
'jalil' aaKHir mohabbat se mila kya
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment