Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Allahabadi

  • Ghazal


hathon mein liye dil ke nazrane nazar aae


hāthoñ meñ liye dil ke nazrāne nazar aa.e
yuuñ bhī tirī rāhoñ meñ dīvāne nazar aa.e

farzānoñ kī bastī meñ dīvāne nahīñ dekhe
dīvānoñ kī bastī meñ farzāne nazar aa.e

ab tak tirī duniyā kā iqbāl thā rakhvālā
aage tirī duniyā meñ kyā jaane nazar aa.e

kaliyoñ ke chaTakte hī ye kaisī fazā badlī
dāman meñ gulistāñ ke vīrāne nazar aa.e

maazī ke dhuñdlakoñ meñ maiñ kho sā gayā aksar
aise bhī risāloñ meñ afsāne nazar aa.e

guzre na 'jalīl' aise hālāt se dushman bhī
jaane hue sāthī bhī anjāne nazar aa.e

hathon mein liye dil ke nazrane nazar aae
yun bhi teri rahon mein diwane nazar aae

farzanon ki basti mein diwane nahin dekhe
diwanon ki basti mein farzane nazar aae

ab tak teri duniya ka iqbaal tha rakhwala
aage teri duniya mein kya jaane nazar aae

kaliyon ke chaTakte hi ye kaisi faza badli
daman mein gulistan ke virane nazar aae

mazi ke dhundlakon mein main kho sa gaya aksar
aise bhi risalon mein afsane nazar aae

guzre na 'jalil' aise haalat se dushman bhi
jaane hue sathi bhi anjaane nazar aae


Source: Lahoo Rang

Leave a comment

+