Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


ek lamha ki milen sare zamane jis mein


ek lamha ki mileñ saare zamāne jis meñ
ek nukta sabhī hikmat ke ḳhazāne jis meñ

dā.era jis meñ samā jaa.eñ jahānoñ kī hudūd
aa.ina jis meñ nazar aa.e adam kā bhī vajūd

farsh par arsh kī azmat kī dalīl-e-mohkam
ḳhalq par rahmat-e-ḳhāliq kī sabīl-e-mohkam

dastaras us kī nigāhoñ kī karāñ tā-ba-karāñ
vo tajassus ke liye āḳhirī manzil kā nishāñ

ek tausī.a jo qismat kī lakīroñ meñ rahe
ek tambīh jo bedār zamīroñ meñ rahe

ek lamha ki milen sare zamane jis mein
ek nukta sabhi hikmat ke KHazane jis mein

daera jis mein sama jaen jahanon ki hudud
aaina jis mein nazar aae adam ka bhi wajud

farsh par arsh ki azmat ki dalil-e-mohkam
KHalq par rahmat-e-KHaliq ki sabil-e-mohkam

dastaras us ki nigahon ki karan ta-ba-karan
wo tajassus ke liye aaKHiri manzil ka nishan

ek tausia jo qismat ki lakiron mein rahe
ek tambih jo bedar zamiron mein rahe


Leave a comment

+