kise ḳhabar ibtidā kī anjām kaun jaane
gumān bātil ḳhayāl sab ḳhaam kaun jaane
tamām lafzoñ kā ek mafhūm kaun samjhe
tamām chīzoñ kā ek hī naam kaun jaane
pujāriyoñ ke liye azal se taḌap rahe haiñ
samay ke pahlū meñ kitne asnām kaun jaane
nikal ke din kī tamāzatoñ se vafā kā sūraj
huā hai ḳhuuñ kis tarah sar-e-shām kaun jaane
udaas jazboñ ke daldalī rāstoñ pe 'ā.alī'
sambhal gayā chal ke gām-do-gām kaun jaane
kise KHabar ibtida ki anjam kaun jaane
guman baatil KHayal sab KHam kaun jaane
tamam lafzon ka ek mafhum kaun samjhe
tamam chizon ka ek hi nam kaun jaane
pujariyon ke liye azal se taDap rahe hain
samay ke pahlu mein kitne asnam kaun jaane
nikal ke din ki tamazaton se wafa ka suraj
hua hai KHun kis tarah sar-e-sham kaun jaane
udas jazbon ke daldali raston pe 'aali'
sambhal gaya chal ke gam-do-gam kaun jaane
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment