Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


dil hai ki gham-e-dil ka aza-dar nahin hai


dil hai ki ġham-e-dil kā azā-dār nahīñ hai
jaañ hai ki sam-e-zīst se bezār nahīñ hai

yā qad koī uThtī huī dīvār nahīñ hai
yā sar koī saudā kā sazā-vār nahīñ hai

alfāz ke rañgoñ ne jo tasvīr banā.ī
ye to mire jazbāt kā iz.hār nahīñ hai

nazdīk bhī aa jhāñk ke dil meñ bhī zarā dekh
malbūs hī insān kā me.aar nahīñ hai

nikle ho kaḌī dhuup meñ jis raah pe 'ālī'
us rah meñ kahīñ sāya-e-ashjār nahīñ hai

dil hai ki gham-e-dil ka aza-dar nahin hai
jaan hai ki sam-e-zist se bezar nahin hai

ya qad koi uThti hui diwar nahin hai
ya sar koi sauda ka saza-war nahin hai

alfaz ke rangon ne jo taswir banai
ye to mere jazbaat ka izhaar nahin hai

nazdik bhi aa jhank ke dil mein bhi zara dekh
malbus hi insan ka mear nahin hai

nikle ho kaDi dhup mein jis rah pe 'ali'
us rah mein kahin saya-e-ashjar nahin hai


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+