Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


luTte hain bahut sahl ki din aise kaDe hain


luTte haiñ bahut sahl ki din aise kaḌe haiñ
ghar meñ nahīñ jaise kahīñ jañgal meñ paḌe haiñ

sar sāñjh ke kab haiñ faqat ik shor-e-anā hai
chāhat ke qabīle nahīñ ḳhvāhish ke dhaḌe haiñ

kis rañg se tum sañg zamāne ke chale ho
har nañg meñ nashshe tumheñ kuchh aur chaḌhe haiñ

din raat haiñ be-mahr havāoñ ke havāle
pattoñ kī tarah jaise daraḳhtoñ se jhaḌe haiñ

duniyā to hai duniyā ki vo dushman hai sadā kī
sau baar tire ishq meñ ham ḳhud se laḌe haiñ

yalġhār karūñ kyā mire pindār ke parcham
raste meñ pahāḌoñ kī tarah aan khaḌe haiñ

itne bhī tahī-dast ta.alluq nahīñ 'ālī'
is shahr meñ kuchh apne bhī mashrab ke thaḌe haiñ

luTte hain bahut sahl ki din aise kaDe hain
ghar mein nahin jaise kahin jangal mein paDe hain

sar sanjh ke kab hain faqat ek shor-e-ana hai
chahat ke qabile nahin KHwahish ke dhaDe hain

kis rang se tum sang zamane ke chale ho
har nang mein nashshe tumhein kuchh aur chaDhe hain

din raat hain be-mahr hawaon ke hawale
patton ki tarah jaise daraKHton se jhaDe hain

duniya to hai duniya ki wo dushman hai sada ki
sau bar tere ishq mein hum KHud se laDe hain

yalghaar karun kya mere pindar ke parcham
raste mein pahaDon ki tarah aan khaDe hain

itne bhi tahi-dast talluq nahin 'ali'
is shahr mein kuchh apne bhi mashrab ke thaDe hain


Leave a comment

+