Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


guzar gaya jo mere dil pe saneha ban kar


guzar gayā jo mire dil pe sāneha ban kar
utar gayā vo mirī ruuh meñ ḳhudā ban kar

tirā ḳhayāl shab-e-hijr phailtā hī gayā
hazār rañg kī sochoñ kā silsila ban kar

vafā ke sañg se Takrā ke ehtijāj-e-anā
salīb-e-lab pe sisakne lagā duā ban kar

badan ke dasht meñ man kī hasīn sub.hoñ ko
nikal rahā hai ġham-e-dahr azhdahā ban kar

kabhī to diip jaleñ gul khileñ fazā mahke
kabhī to aa shab-e-vīrāñ meñ ratjagā ban kar

tamām umr jise DhūñDte rahe 'ā.alī'
kahīñ milā bhī agar vo to fāsla ban kar

guzar gaya jo mere dil pe saneha ban kar
utar gaya wo meri ruh mein KHuda ban kar

tera KHayal shab-e-hijr phailta hi gaya
hazar rang ki sochon ka silsila ban kar

wafa ke sang se Takra ke ehtijaj-e-ana
salib-e-lab pe sisakne laga dua ban kar

badan ke dasht mein man ki hasin subhon ko
nikal raha hai gham-e-dahr azhdaha ban kar

kabhi to dip jalen gul khilen faza mahke
kabhi to aa shab-e-viran mein ratjaga ban kar

tamam umr jise DhunDte rahe 'aali'
kahin mila bhi agar wo to fasla ban kar


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+