Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Imam

  • Ghazal


naw dariya mein chale samne manjdhaar bhi ho


naav dariyā meñ chale sāmne mañjdhār bhī ho
Duub jaane ke liye har koī tayyār bhī ho

kaise rokegā safar meñ koī rasta jab ki
dil meñ ik josh bhī ho paañv meñ raftār bhī ho

saarī ummīdeñ isī ek sahāre kī taraf
nā-umīdī ke safar meñ vahī dīvār bhī ho

har taraf se na.e ilzām kī bārish mujh par
apne hone kā ye ehsās-e-gunah-gār bhī ho

jis duā ke liye vo raat kaTī āñkhoñ meñ
vo duā ḳhud se guzar jaane kā āzār bhī ho

fātiha apne gunāhoñ kā bhī paḌhtā hai 'zafar'
zinda ehsās ke ho jaane se bezār bhī ho

naw dariya mein chale samne manjdhaar bhi ho
Dub jaane ke liye har koi tayyar bhi ho

kaise rokega safar mein koi rasta jab ki
dil mein ek josh bhi ho panw mein raftar bhi ho

sari ummiden isi ek sahaare ki taraf
na-umidi ke safar mein wahi diwar bhi ho

har taraf se nae ilzam ki barish mujh par
apne hone ka ye ehsas-e-gunah-gar bhi ho

jis dua ke liye wo raat kaTi aankhon mein
wo dua KHud se guzar jaane ka aazar bhi ho

fatiha apne gunahon ka bhi paDhta hai 'zafar'
zinda ehsas ke ho jaane se bezar bhi ho


Source: Book : Ehsas ki Hijrat (Gazal Collection) (Pg. 26) Author : Zafar Imam Publication : Asri Sang-e-meel Publications, Patna (2008) Edition : 2008

Leave a comment

+