Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


barg bhar bar mohabbat ka uThaya kab tha


barg bhar baar mohabbat kā uThāyā kab thā
tum ne siine meñ koī dard basāyā kab thā

ab jo ḳhud se bhī judā ho ke phiro ho ban meñ
tum ne bastī meñ koī dost banāyā kab thā

naqd-e-ehsās ki insāñ kā bharam hotā hai
ham ne khoyā hai kahāñ aap ne paayā kab thā

shahr kā shahr umaD aayā hai dil-jūī ko
dushmanoñ ne bhī tirī tarah satāyā kab thā

sa.i-e-sahrā-e-vafā sair-e-gulistāñ kab thī
dhuup hī dhuup thī har-sū koī saayā kab thā

aks kyā kyā the nigāhoñ meñ firozāñ 'ālī'
par ye andāz-e-nazar vaqt ko bhāyā kab thā

barg bhar bar mohabbat ka uThaya kab tha
tum ne sine mein koi dard basaya kab tha

ab jo KHud se bhi juda ho ke phiro ho ban mein
tum ne basti mein koi dost banaya kab tha

naqd-e-ehsas ki insan ka bharam hota hai
hum ne khoya hai kahan aap ne paya kab tha

shahr ka shahr umaD aaya hai dil-jui ko
dushmanon ne bhi teri tarah sataya kab tha

sai-e-sahra-e-wafa sair-e-gulistan kab thi
dhup hi dhup thi har-su koi saya kab tha

aks kya kya the nigahon mein firozan 'ali'
par ye andaz-e-nazar waqt ko bhaya kab tha


Leave a comment

+