Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


hawa bhi zor pe thi tez tha bahaw bhi


havā bhī zor pe thī tez thā bahāv bhī
laḌī hai ḳhuub magar kāġhzī sī naav bhī

abhī se haath chhuḌāte ho vāpsī ke liye
jo chal paḌe ho to phir saath saath aao bhī

jise jahāñ kī ravish duur le ga.ī us ko
qarīb lā na sakīñ tum mirī vafāo bhī

bañdhā rahā bahar-andāz halqa-e-yārāñ
havā hai sard kahīñ dard kā alaav bhī

bajā ki merī tabī.at bhī lā-ubālī thī
pa zūd-ranj thā duniyā tirā subhāv bhī

ibādatoñ kī sharābeñ bhī pī chukā lekin
sukūn de na sake tum mire ḳhudāo bhī

hawa bhi zor pe thi tez tha bahaw bhi
laDi hai KHub magar kaghzi si naw bhi

abhi se hath chhuDate ho wapsi ke liye
jo chal paDe ho to phir sath sath aao bhi

jise jahan ki rawish dur le gai us ko
qarib la na sakin tum meri wafao bhi

bandha raha bahar-andaz halqa-e-yaran
hawa hai sard kahin dard ka alaw bhi

baja ki meri tabiat bhi la-ubaali thi
pa zud-ranj tha duniya tera subhaw bhi

ibaadaton ki sharaben bhi pi chuka lekin
sukun de na sake tum mere KHudao bhi


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+