Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


jab bhi mausam-e-hunar harf o bayan le jae


jab bhī mausam-e-hunar harf o bayāñ le jaa.e
yuuñ lage jism se jaise koī jaañ le jaa.e

ham ki haiñ naqsh sar-e-reg-e-ravāñk kyā jaane
kab koī mauj-e-havā apnā nishāñ le jaa.e

ek āzādī ki zindānī-e-ḳhvāhish kar de
ik asīrī ki karāñ-tā-ba-karāñ le jaa.e

vahshat-e-shauq muqaddar thī so bachte kab tak
ab to ye sail-e-balā-ḳhez jahāñ le jaa.e

ek parchhā.īñ ke pīchhe haiñ azal se 'ālī'
ye ta.āqub hameñ kyā jaane kahāñ le jaa.e

jab bhi mausam-e-hunar harf o bayan le jae
yun lage jism se jaise koi jaan le jae

hum ki hain naqsh sar-e-reg-e-rawank kya jaane
kab koi mauj-e-hawa apna nishan le jae

ek aazadi ki zindani-e-KHwahish kar de
ek asiri ki karan-ta-ba-karan le jae

wahshat-e-shauq muqaddar thi so bachte kab tak
ab to ye sail-e-bala-KHez jahan le jae

ek parchhain ke pichhe hain azal se 'ali'
ye taaqub hamein kya jaane kahan le jae


Leave a comment

+