Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Aali

  • Ghazal


kya kya dilon ka KHauf chhupana paDa hamein


kyā kyā diloñ kā ḳhauf chhupānā paḌā hameñ
ḳhud Dar ga.e to sab ko Darānā paḌā hameñ

ik dūsre se bach ke nikalnā muhāl thā
ik dūsre ko rauñd ke jaanā paḌā hameñ

apne diye ko chāñd batāne ke vāste
bastī kā har charāġh bujhānā paḌā hameñ

vahshī havā ne aise barahna kiye badan
apnā lahū libās banānā paḌā hameñ

zelī hikāyatoñ meñ sabhī log kho ga.e
qissa tamām phir se sunānā paḌā hameñ

'ālī' anā pe sānehe kyā kyā guzar ga.e
kis kis kī samt haath baḌhānā paḌā hameñ

kya kya dilon ka KHauf chhupana paDa hamein
KHud Dar gae to sab ko Darana paDa hamein

ek dusre se bach ke nikalna muhaal tha
ek dusre ko raund ke jaana paDa hamein

apne diye ko chand batane ke waste
basti ka har charagh bujhana paDa hamein

wahshi hawa ne aise barahna kiye badan
apna lahu libas banana paDa hamein

zeli hikayaton mein sabhi log kho gae
qissa tamam phir se sunana paDa hamein

'ali' ana pe sanehe kya kya guzar gae
kis kis ki samt hath baDhana paDa hamein


Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 10.04.2015)

Leave a comment

+