Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jalaluddin Akbar

  • Ghazal


tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi


tirā vasl hai mujhe be-ḳhudī tirā hijr hai mujhe āgahī
tirā vasl mujh ko firāq hai tirā hijr mujh ko visāl hai

maiñ huuñ dar par us ke paḌā huā mujhe aur chāhiye kyā bhalā
mujhe be-parī kā ho kyā galā mirī be-parī par-o-bāl hai

vahī maiñ huuñ aur vahī zindagī vahī sub.h o shaam kī sar ḳhushī
vahī merā husn-e-ḳhayāl hai vahī un kī shān-e-jamāl hai

tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai

main hun dar par us ke paDa hua mujhe aur chahiye kya bhala
mujhe be-pari ka ho kya gala meri be-pari par-o-baal hai

wahi main hun aur wahi zindagi wahi subh o sham ki sar KHushi
wahi mera husn-e-KHayal hai wahi un ki shan-e-jamal hai


Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 946) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers

Leave a comment

+