Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jalaluddin Akbar

  • Ghazal


husn agar aashkar ho jae


husn agar āshkār ho jaa.e
fitna-e-rozgār ho jaa.e

dil ko is tarh dekhne vaale
dil agar be-qarār ho jaa.e

shoḳhi-e-yār kā taqāzā hai
shauq be-iḳhtiyār ho jaa.e

koī shikva rahe na 'akbar' ko
tū agar ek baar ho jaa.e

husn agar aashkar ho jae
fitna-e-rozgar ho jae

dil ko is tarh dekhne wale
dil agar be-qarar ho jae

shoKHi-e-yar ka taqaza hai
shauq be-iKHtiyar ho jae

koi shikwa rahe na 'akbar' ko
tu agar ek bar ho jae


Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 943) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers

Leave a comment

+