Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jalal Lakhnavi

  • Ghazal


pa-shikaston ko jab jab milenge aap


pā-shikastoñ ko jab jab mileñge aap
sar-e-rāh-e-talab mileñge aap

un se pūchā ki kab mileñge aap
bole jab jāñ-ba-lab mileñge aap

dil ye kah kar ḳhabar ko us kī chalā
mujh ko zinda na ab mileñge aap

arsa-e-hashr īd-gāh huā
sab se mil leñge jab mileñge aap

vasl meñ bhī jabīñ pe hogī shikan
toḌne ko ġhazab mileñge aap

be-ḳhudoñ ko talāsh se kyā kaam
har jagah be-talab mileñge aap

chhoḌ dī ruḳh pe zulf samjhe ham
chhup ke ek aadh shab mileñge aap

chheḌ mutrib tarāna-e-shab-e-vasl
sāz-e-aish-o-tarab mileñge aap

yaar jab mil gayā to ham se 'jalāl'
jo na milte the sab mileñge aap

pa-shikaston ko jab jab milenge aap
sar-e-rah-e-talab milenge aap

un se pucha ki kab milenge aap
bole jab jaan-ba-lab milenge aap

dil ye kah kar KHabar ko us ki chala
mujh ko zinda na ab milenge aap

arsa-e-hashr id-gah hua
sab se mil lenge jab milenge aap

wasl mein bhi jabin pe hogi shikan
toDne ko ghazab milenge aap

be-KHudon ko talash se kya kaam
har jagah be-talab milenge aap

chhoD di ruKH pe zulf samjhe hum
chhup ke ek aadh shab milenge aap

chheD mutrib tarana-e-shab-e-wasl
saz-e-aish-o-tarab milenge aap

yar jab mil gaya to hum se 'jalal'
jo na milte the sab milenge aap


Source: Book : Intekhab-e-kalam  Miir Zamin Ali Jalal (Pg. 23)

Leave a comment

+