Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaimini Sarshar

  • Ghazal


karen kis liye hum kisi ka lihaz


kareñ kis liye ham kisī kā lihāz
kisī ko nahīñ jab hamārā lihāz

musāvāt us chiiz kā naam hai
ki uTh jaa.e chhoTe baḌe kā lihāz

lihāz is kā kuchh tum ko bhī chāhiye
kiyā ham ne kitnā tumhārā lihāz

kisī kī koī baat suntā nahīñ
kisī ko nahīñ ab kisī kā lihāz

kharī baat kahne ke aadī haiñ ham
na bejā muravvat na bejā lihāz

jo insāñ zamāne ke kaam aa.egā
usī kā karegā zamāna lihāz

na rutba na ohda na zar hai na zor
kare kaun 'sarshār' terā lihāz

karen kis liye hum kisi ka lihaz
kisi ko nahin jab hamara lihaz

musawat us chiz ka nam hai
ki uTh jae chhoTe baDe ka lihaz

lihaz is ka kuchh tum ko bhi chahiye
kiya hum ne kitna tumhaara lihaz

kisi ki koi baat sunta nahin
kisi ko nahin ab kisi ka lihaz

khari baat kahne ke aadi hain hum
na beja murawwat na beja lihaz

jo insan zamane ke kaam aaega
usi ka karega zamana lihaz

na rutba na ohda na zar hai na zor
kare kaun 'sarshaar' tera lihaz


Leave a comment

+