Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaimini Sarshar

  • Ghazal


zindagi chain pa nahin sakti


zindagī chain pā nahīñ saktī
maut ko maut aa nahīñ saktī

phūñk saktī hai barq gulshan ko
phuul is meñ khilā nahīñ saktī

toḌ detī hai maut sāz-e-hayāt
lekin is ko bajā nahīñ saktī

tum na chāho to ye nasīm-e-bahār
gul chaman meñ khilā nahīñ saktī

zindagī laakh tābdār sahī
maut kī taab lā nahīñ saktī

ham pe hañsnā to us ko aatā hai
ham ko duniyā hañsā nahīñ saktī

ham se insāñ kahāñ mileñge use
ham ko duniyā bhulā nahīñ saktī

zindagi chain pa nahin sakti
maut ko maut aa nahin sakti

phunk sakti hai barq gulshan ko
phul is mein khila nahin sakti

toD deti hai maut saz-e-hayat
lekin is ko baja nahin sakti

tum na chaho to ye nasim-e-bahaar
gul chaman mein khila nahin sakti

zindagi lakh tabdar sahi
maut ki tab la nahin sakti

hum pe hansna to us ko aata hai
hum ko duniya hansa nahin sakti

hum se insan kahan milenge use
hum ko duniya bhula nahin sakti


Leave a comment

+