Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


dil ko jo apne bas mein na paun to kya karun


dil ko jo apne bas meñ na pā.ūñ to kyā karūñ
āñkheñ na rahguzar meñ bichhā.ūñ to kyā karūñ

pā kar tumheñ jo hosh nahīñ hai to kyā huā
kho kar tumheñ jo hosh meñ aa.uuñ to kyā karūñ

tum se kahīñ aziiz tumhārā ḳhayāl hai
de kar use tumheñ bhī jo pā.ūñ to kyā karūñ

ā.eñge aaj bahr-ayādat vo mere ghar
maare ḳhushī ke mar hī na jā.ūñ to kyā karūñ

sabza ho roz-e-āb ho mai ho nigār ho
ab bhī na maiñ piyūñ na pilā.ūñ to kyā karūñ

hai jān-o-dil aziiz mujhe tum azīz-tar
tum hī kaho ki dar pe na aa.uuñ to kyā karūñ

ab tak to shauq-e-dīd meñ thā be-qarār maiñ
mil kar bhī tum se chain na pā.ūñ to kyā karūñ

dozaḳh bhī hai qubūl tumhāre karam ke saath
jannat ko tujh se duur jo pā.ūñ to kyā karūñ

maanā ki ek rog hai ulfat bhī ai 'habīb'
us ke baġhair dil bhī jo pā.ūñ to kyā karūñ

dil ko jo apne bas mein na paun to kya karun
aankhen na rahguzar mein bichhaun to kya karun

pa kar tumhein jo hosh nahin hai to kya hua
kho kar tumhein jo hosh mein aaun to kya karun

tum se kahin aziz tumhaara KHayal hai
de kar use tumhein bhi jo paun to kya karun

aaenge aaj bahr-ayaadat wo mere ghar
mare KHushi ke mar hi na jaun to kya karun

sabza ho roz-e-ab ho mai ho nigar ho
ab bhi na main piyun na pilaun to kya karun

hai jaan-o-dil aziz mujhe tum aziz-tar
tum hi kaho ki dar pe na aaun to kya karun

ab tak to shauq-e-did mein tha be-qarar main
mil kar bhi tum se chain na paun to kya karun

dozaKH bhi hai qubul tumhaare karam ke sath
jannat ko tujh se dur jo paun to kya karun

mana ki ek rog hai ulfat bhi ai 'habib'
us ke baghair dil bhi jo paun to kya karun

RECITATIONS Kunal pandit



00:00/00:00 dil ko jo apne bas mein jo na paaun to kya karun Kunal pandit

Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 23) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+