Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


kah chuke haal raaz baqi hai


kah chuke haal raaz baaqī hai
naaz uThā.e niyāz baaqī hai

manzil-e-ishq tai huī phir bhī
rāh-e-dūr-o-darāz baaqī hai

tū ne naġhme bhī dil se chhīn liye
taar TuuTe haiñ saaz baaqī hai

sajdoñ se bandagī nahīñ hotī
sar jhukā hai namāz baaqī hai

dil to tīroñ se ho gayā chhalnī
aur abhī mashq-e-nāz baaqī hai

sohbat-e-shab to ho ga.ī āḳhir
ek ġham-e-jāñ gudāz baaqī hai

tark-e-ulfat ke bāvajūd 'habīb'
dil meñ ek fitna-sāz baaqī hai

kah chuke haal raaz baqi hai
naz uThae niyaz baqi hai

manzil-e-ishq tai hui phir bhi
rah-e-dur-o-daraaz baqi hai

tu ne naghme bhi dil se chhin liye
tar TuTe hain saz baqi hai

sajdon se bandagi nahin hoti
sar jhuka hai namaz baqi hai

dil to tiron se ho gaya chhalni
aur abhi mashq-e-naz baqi hai

sohbat-e-shab to ho gai aaKHir
ek gham-e-jaan gudaz baqi hai

tark-e-ulfat ke bawajud 'habib'
dil mein ek fitna-saz baqi hai


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 81) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+