dard minnat-kash-e-darmāñ ho zarūrī to nahīñ
zaḳhm marham kā hī ḳhvāhāñ ho zarūrī to nahīñ
dil kī gahrā.ī meñ dāġhoñ ke chaman khilte haiñ
merā har zaḳhm numāyāñ ho zarūrī to nahīñ
aag hai donoñ taraf garche barābar kī lagī
phir bhī mujh sā vo pareshāñ ho zarūrī to nahīñ
hijr meñ tere tasavvur ke maze kyā kahne
har koī diid kā ḳhvāhāñ ho zarūrī to nahīñ
muntazir maiñ tire aane kā rahūñgā har-dam
jhūTā har ik tirā paimāñ ho zarūrī to nahīñ
dil se chāhūñ maiñ jise vo bhī to chāhe mujh ko
puurā aisā kabhī armāñ ho zarūrī to nahīñ
maut aatī hai kabhī mādar-e-mushfiq kī tarah
is se har shaḳhs gurezāñ ho zarūrī to nahīñ
ishq ne nāseh-e-mushfiq kī sunī hī kab thī
aql hī dil kī nigahbāñ ho zarūrī to nahīñ
khete kis vāste kashtī ko ho sāhil sāhil
na yahāñ ḳhatra-e-tūfāñ ho zarūrī to nahīñ
maiñ samajhtā to huuñ anjām-e-mohabbat ko 'habīb'
dil is anjām se larzāñ ho zarūrī to nahīñ
dard minnat-kash-e-darman ho zaruri to nahin
zaKHm marham ka hi KHwahan ho zaruri to nahin
dil ki gahrai mein daghon ke chaman khilte hain
mera har zaKHm numayan ho zaruri to nahin
aag hai donon taraf garche barabar ki lagi
phir bhi mujh sa wo pareshan ho zaruri to nahin
hijr mein tere tasawwur ke maze kya kahne
har koi did ka KHwahan ho zaruri to nahin
muntazir main tere aane ka rahunga har-dam
jhuTa har ek tera paiman ho zaruri to nahin
dil se chahun main jise wo bhi to chahe mujh ko
pura aisa kabhi arman ho zaruri to nahin
maut aati hai kabhi madar-e-mushfiq ki tarah
is se har shaKHs gurezan ho zaruri to nahin
ishq ne naseh-e-mushfiq ki suni hi kab thi
aql hi dil ki nigahban ho zaruri to nahin
khete kis waste kashti ko ho sahil sahil
na yahan KHatra-e-tufan ho zaruri to nahin
main samajhta to hun anjam-e-mohabbat ko 'habib'
dil is anjam se larzan ho zaruri to nahin
Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 73) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Leave a comment