Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


fikr-e-jahan se khele zor-e-butan se khele


fikr-e-jahāñ se khele zor-e-butāñ se khele
ham daur-e-zindagī meñ har imtihāñ se khele

phūloñ se koī khelā kaliyoñ se koī uljhā
ham dard-āshnā the dard-e-nihāñ se khele

jab bichhḌe dostoñ kī yaad i baiThe baiThe
ham be-qarār ho kar ashk-e-ravāñ se khele

āsāñ na thā guzarnā kuchh rāh-e-āshiqī se
hastī miTā.ī apnī apnī hī jaañ se khele

duniyāñ kī fikr kaisī uqbā kā ḳhauf kaisā
saaqī kī ik nazar par ham do-jahāñ se khele

go husn-e-dilrubā hai dil kī ḳhalish balā hai
khele sambhal ke vo jo ishq-e-butāñ se khele

maazī ne dī sadā.eñ dekhā magar na muḌ kar
ham yuuñ 'habīb' aksar umr-e-ravāñ se khele

fikr-e-jahan se khele zor-e-butan se khele
hum daur-e-zindagi mein har imtihan se khele

phulon se koi khela kaliyon se koi uljha
hum dard-ashna the dard-e-nihan se khele

jab bichhDe doston ki yaad i baiThe baiThe
hum be-qarar ho kar ashk-e-rawan se khele

aasan na tha guzarna kuchh rah-e-ashiqi se
hasti miTai apni apni hi jaan se khele

duniyan ki fikr kaisi uqba ka KHauf kaisa
saqi ki ek nazar par hum do-jahan se khele

go husn-e-dilruba hai dil ki KHalish bala hai
khele sambhal ke wo jo ishq-e-butan se khele

mazi ne di sadaen dekha magar na muD kar
hum yun 'habib' aksar umr-e-rawan se khele


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 29) Author : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+