Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


garmi nigah-e-dost ki dil mein liye hue


garmī nigāh-e-dost kī dil meñ liye hue
guzre jahāñ ko sāz-e-mohabbat diye hue

be-kaifiyoñ ke bojh se dabtī hayāt meñ
tum aa.e nūr-e-nik.hat-o-naġhma liye hue

sunsān rāheñ jaag uThī aa rahe haiñ vo
jalvoñ se har qadam pe charāġhāñ kiye hue

e.ajāz us tabassum-e-jānāñ kā dekhiye
ġham-hā-e-rozgār meñ haiñ ham jiye hue

ho husn kī sharāb kī sahbā-e-ishq ho
tum ho piye hue to haiñ ham bhī piye hue

āshuftagī meñ aane lagā hai maza mujhe
muddat huī hai chaak garebāñ kiye hue

mujh tishna-lab tak aa.e na aa.e vo daur-e-jām
lekin tirā ḳhayāl hai sāhab liye hue

saaqī kī hai navāzish usī par hī munhasir
kyā zarf hai jo hāthoñ meñ ham haiñ liye hue

kis imtihāñ ko khel samajh kar na khele ham
kis rah ko hai na ahl-e-vafā tai kiye hue

aa.e haiñ aaj bazm meñ us shoḳh kī 'habīb'
āñkhoñ meñ shauq dil meñ tamannā liye hue

garmi nigah-e-dost ki dil mein liye hue
guzre jahan ko saz-e-mohabbat diye hue

be-kaifiyon ke bojh se dabti hayat mein
tum aae nur-e-nikhat-o-naghma liye hue

sunsan rahen jag uThi aa rahe hain wo
jalwon se har qadam pe charaghan kiye hue

eajaz us tabassum-e-jaanan ka dekhiye
gham-ha-e-rozgar mein hain hum jiye hue

ho husn ki sharab ki sahba-e-ishq ho
tum ho piye hue to hain hum bhi piye hue

aashuftagi mein aane laga hai maza mujhe
muddat hui hai chaak gareban kiye hue

mujh tishna-lab tak aae na aae wo daur-e-jam
lekin tera KHayal hai sahab liye hue

saqi ki hai nawazish usi par hi munhasir
kya zarf hai jo hathon mein hum hain liye hue

kis imtihan ko khel samajh kar na khele hum
kis rah ko hai na ahl-e-wafa tai kiye hue

aae hain aaj bazm mein us shoKH ki 'habib'
aankhon mein shauq dil mein tamanna liye hue


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 40) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+