zindagī ko ik musalsal imtihāñ kahte rahe
laġhzish-e-pā ko hī manzil kā nishāñ kahte rahe
maslahat thī yā ki thī vo ishq kī majbūriyāñ
us but-e-nā-mehrbāñ ko mehrbāñ kahte rahe
chupke chupke kah ga.ī jo dāstāñ ko dāstāñ
us nigāh-e-shauq ko ham be-zabāñ kahte rahe
ik tabassum ik nigah aur ek qatra ashk kā
bas inhīñ par kahne vaale dāstāñ kahte rahe
zard patte ḳhushk kaliyāñ phuul murjhā.e hue
ye haiñ aks-e-qalb-e-vīrāñ ham ḳhizāñ kahte rahe
apne hī zauq-e-nazar ne baḳhshī un ko dilbarī
varna kyā hai jis ko ham husn-e-butāñ kahte rahe
gosha-e-dil meñ vo mere sab simaT kar rah gayā
ġham kā ik tūfāñ jise ahl-e-jahāñ kahte rahe
jalva-gar rag rag meñ hai aur dīda-o-dil meñ nihāñ
ham jise ḳhalvat-nashīn-e-lā-makāñ kahte rahe
pyaar ke lamhe jo un kī bazm meñ guzre 'habīb'
ham hayāt-e-ḳhizr par un ko garāñ kahte rahe
zindagi ko ek musalsal imtihan kahte rahe
laghzish-e-pa ko hi manzil ka nishan kahte rahe
maslahat thi ya ki thi wo ishq ki majburiyan
us but-e-na-mehrban ko mehrban kahte rahe
chupke chupke kah gai jo dastan ko dastan
us nigah-e-shauq ko hum be-zaban kahte rahe
ek tabassum ek nigah aur ek qatra ashk ka
bas inhin par kahne wale dastan kahte rahe
zard patte KHushk kaliyan phul murjhae hue
ye hain aks-e-qalb-e-viran hum KHizan kahte rahe
apne hi zauq-e-nazar ne baKHshi un ko dilbari
warna kya hai jis ko hum husn-e-butan kahte rahe
gosha-e-dil mein wo mere sab simaT kar rah gaya
gham ka ek tufan jise ahl-e-jahan kahte rahe
jalwa-gar rag rag mein hai aur dida-o-dil mein nihan
hum jise KHalwat-nashin-e-la-makan kahte rahe
pyar ke lamhe jo un ki bazm mein guzre 'habib'
hum hayat-e-KHizr par un ko garan kahte rahe
Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 22) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Leave a comment