yaad ayyām-e-rafta yuuñ aa.e
dhuñdle dhuñdle se jaise kuchh saa.e
jaise uḌte hue parinde kā
naġhma dam bhar fazā meñ lahrā.e
jaise vīrān dil ke gulshan meñ
chupke chupke bahār aa jaa.e
suunī suunī sī jaise mahfil meñ
daf.atan jān-e-intizār aa.e
jaise abr-e-siyah ke parde meñ
chāñd kī ik kiran thirak jaa.e
jaise sunsān rahguzāroñ meñ
yak-ba-yak ik charāġh jal jaa.e
yā koī riñd-e-tishna-lab jaise
dast-e-sāqī se jaam pā jaa.e
jaise mahjūr ek ġhazal gā kar
apne ġhamgīn dil ko bahlā.e
jaise tārīk shab kā sannāTā
naġhma-e-lai se TūTtā jaa.e
ek tūfāñ-zada musāfir ke
jaise sāhil qarīb aa jaa.e
jaise tapte se regzāroñ meñ
abr-e-rahmat zarā baras jaa.e
jaise pahlī kiran savere kī
rauzan-e-shab se jhāñktī jaa.e
jaise bād-e-sabā ke jhoñkoñ se
ġham ke māroñ ko niiñd aa jaa.e
jaise ġhurbat meñ bhaTke raahī ko
ik payām-e-'habīb' aa jaa.e
yaad ayyam-e-rafta yun aae
dhundle dhundle se jaise kuchh sae
jaise uDte hue parinde ka
naghma dam bhar faza mein lahrae
jaise viran dil ke gulshan mein
chupke chupke bahaar aa jae
suni suni si jaise mahfil mein
dafatan jaan-e-intizar aae
jaise abr-e-siyah ke parde mein
chand ki ek kiran thirak jae
jaise sunsan rahguzaron mein
yak-ba-yak ek charagh jal jae
ya koi rind-e-tishna-lab jaise
dast-e-saqi se jam pa jae
jaise mahjur ek ghazal ga kar
apne ghamgin dil ko bahlae
jaise tarik shab ka sannaTa
naghma-e-lai se TuTta jae
ek tufan-zada musafir ke
jaise sahil qarib aa jae
jaise tapte se regzaron mein
abr-e-rahmat zara baras jae
jaise pahli kiran sawere ki
rauzan-e-shab se jhankti jae
jaise baad-e-saba ke jhonkon se
gham ke maron ko nind aa jae
jaise ghurbat mein bhaTke rahi ko
ek payam-e-'habib' aa jae
Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 35) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Leave a comment