Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


chashm-e-dil par kaif hai chhaya hua


chashm-e-dil par kaif hai chhāyā huā
hai tasavvur meñ koī aayā huā

dil meñ hai har vaqt ik mahfil jamī
kyā huā gar maiñ kabhī tanhā huā

tere qābil to nahīñ hai ye magar
ek dil laayā huuñ maiñ TuuTā huā

zikr phir bichhḌe chaman kā chhiḌ gayā
mundamil thā zaḳhm-e-dil taaza huā

ai chaman se aane vaalo kuchh kaho
merā bhī ik āshiyāñ thā kyā huā

ab javānī kā kareñ kyā tazkira
ek afsāna sā hai bhūlā huā

kar rahā hai dil kā mātam kis liye
dil agar TuuTā tirā achchhā huā

umr guzrī aur ham dekhā kiye
zindagī kā kārvāñ luuTā huā

Thokareñ khā khā ke duniyā meñ 'habīb'
yaad aayā har sabaq bhūlā huā

chashm-e-dil par kaif hai chhaya hua
hai tasawwur mein koi aaya hua

dil mein hai har waqt ek mahfil jami
kya hua gar main kabhi tanha hua

tere qabil to nahin hai ye magar
ek dil laya hun main TuTa hua

zikr phir bichhDe chaman ka chhiD gaya
mundamil tha zaKHm-e-dil taza hua

ai chaman se aane walo kuchh kaho
mera bhi ek aashiyan tha kya hua

ab jawani ka karen kya tazkira
ek afsana sa hai bhula hua

kar raha hai dil ka matam kis liye
dil agar TuTa tera achchha hua

umr guzri aur hum dekha kiye
zindagi ka karwan luTa hua

Thokaren kha kha ke duniya mein 'habib'
yaad aaya har sabaq bhula hua


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 32) Author : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+