Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


apne haal-e-dil pe KHud hi muskura sakta hun main


apne hāl-e-dil pe ḳhud hī muskurā saktā huuñ maiñ
kab kisī ke rahm kā ehsāñ uThā saktā huuñ maiñ

āshiyāñ ko phūñk saktī hai agarche bijliyāñ
shāḳh-e-gul par baar baar is ko banā saktā huuñ maiñ

dāstān-e-ġham ko kah saktā huuñ sirf ik aah maiñ
aur tum chāho to afsāna banā saktā huuñ maiñ

tum agarche baḳhsh sakte ho mujhe tanhā.iyāñ
apnī tanhā.ī ko bhī mahfil banā saktā huuñ maiñ

be-ruḳhī se toḌ sakte ho dil-e-nāzuk ko tum
aur shikasta-sāz dil par gungunā saktā huuñ maiñ

har qadam par ziist ne aa kar jhiñjhoḌā hai mujhe
zindagī se kyā kabhī āñkheñ churā saktā huuñ maiñ

itnī dekhī haiñ bahāreñ itnī dekhī hai ḳhizāñ
ab to in kā farq bhī dil se miTā saktā huuñ maiñ

tum ko ye da.avā ki tum har anjuman kī jaan ho
zo.am hai mujh ko ki har mahfil pe chhā saktā ho maiñ

vo nigāh-e-lutf gar tujh ko mayassar ho 'habīb'
zindagī ko ik na.ī manzil pe lā saktā huuñ maiñ

apne haal-e-dil pe KHud hi muskura sakta hun main
kab kisi ke rahm ka ehsan uTha sakta hun main

aashiyan ko phunk sakti hai agarche bijliyan
shaKH-e-gul par bar bar is ko bana sakta hun main

dastan-e-gham ko kah sakta hun sirf ek aah main
aur tum chaho to afsana bana sakta hun main

tum agarche baKHsh sakte ho mujhe tanhaiyan
apni tanhai ko bhi mahfil bana sakta hun main

be-ruKHi se toD sakte ho dil-e-nazuk ko tum
aur shikasta-saz dil par gunguna sakta hun main

har qadam par zist ne aa kar jhinjhoDa hai mujhe
zindagi se kya kabhi aankhen chura sakta hun main

itni dekhi hain bahaaren itni dekhi hai KHizan
ab to in ka farq bhi dil se miTa sakta hun main

tum ko ye dawa ki tum har anjuman ki jaan ho
zoam hai mujh ko ki har mahfil pe chha sakta ho main

wo nigah-e-lutf gar tujh ko mayassar ho 'habib'
zindagi ko ek nai manzil pe la sakta hun main


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 39) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+