ashk-e-ġham āñkhoñ se kitne bah ga.e
jo na kahnā thā use ham kah ga.e
chhuT ke tujh se be-sahāre rah ga.e
zindagī ke sab kināre bah ga.e
koī insāñ sā asīr-e-ġham nahīñ
aa.ī jo sar par hamāre sah ga.e
dekh kar duniyā ke ye taur-o-tarīq
kitne naġhme ghuT ke dil meñ rah ga.e
pahuñchā dīvāna to manzil par magar
īn-o-āñ meñ ham ulajh kar rah ga.e
terā ġham fikr-e-jahāñ tanhā.iyāñ
daaġh ham siine pe kyā kyā sah ga.e
hijr meñ bhī vasl ke aa.e maze
yuuñ tasavvur meñ ham un ke bah ga.e
kis ne paa.ī terī nazroñ se panāh
dil ko apne ab bachāte rah ga.e
ab javānī kā vahāñ josh-o-ḳharosh
ai 'habīb' ab hausle sab Dah ga.e
ashk-e-gham aankhon se kitne bah gae
jo na kahna tha use hum kah gae
chhuT ke tujh se be-sahaare rah gae
zindagi ke sab kinare bah gae
koi insan sa asir-e-gham nahin
aai jo sar par hamare sah gae
dekh kar duniya ke ye taur-o-tariq
kitne naghme ghuT ke dil mein rah gae
pahuncha diwana to manzil par magar
in-o-an mein hum ulajh kar rah gae
tera gham fikr-e-jahan tanhaiyan
dagh hum sine pe kya kya sah gae
hijr mein bhi wasl ke aae maze
yun tasawwur mein hum un ke bah gae
kis ne pai teri nazron se panah
dil ko apne ab bachate rah gae
ab jawani ka wahan josh-o-KHarosh
ai 'habib' ab hausle sab Dah gae
Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 60) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Leave a comment