Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


nazren jhuki sawal pe mere jawab mein


nazreñ jhukī savāl pe mere javāb meñ
kyā kyā na kah ga.ī hai nigāheñ hijāb meñ

mizrāb hī se saaz meñ hai saarī naġhmagī
hai zindagī kā lutf nihāñ iztirāb meñ

rāh-e-vafā meñ us ke qadam Dagmagā.eñ kyoñ
dekhā hai jis ne terā karam bhī itaab meñ

sadqe nigāh-e-nāz ke huuñ be-niyāz-e-jām
aa.e ye kaif-e-husn kahāñ se sharāb meñ

maiñ rah-navard-e-shauq huuñ mujh ko kahāñ ye hosh
rāhat meñ guzre dil ki ye guzre azaab meñ

rah rah ke ab rulātī hai piirī meñ un kī yaad
hañs hañs ke zaḳhm khaa.e jo ham ne shabāb meñ

ye tāzgī ye rañg bhī aayā kahāñ se hai
kāñToñ kā ḳhuun hī to hai shāyad gulāb meñ

puure kahāñ hue mire armāñ gunāh ke
kyā ḳhaak dil lagegā abhī se savāb meñ

bedāriyoñ kī taab na ham lā sake 'habīb'
guzrī hayāt ek musalsal se ḳhvāb meñ

nazren jhuki sawal pe mere jawab mein
kya kya na kah gai hai nigahen hijab mein

mizrab hi se saz mein hai sari naghmagi
hai zindagi ka lutf nihan iztirab mein

rah-e-wafa mein us ke qadam Dagmagaen kyon
dekha hai jis ne tera karam bhi itab mein

sadqe nigah-e-naz ke hun be-niyaz-e-jam
aae ye kaif-e-husn kahan se sharab mein

main rah-naward-e-shauq hun mujh ko kahan ye hosh
rahat mein guzre dil ki ye guzre azab mein

rah rah ke ab rulati hai piri mein un ki yaad
hans hans ke zaKHm khae jo hum ne shabab mein

ye tazgi ye rang bhi aaya kahan se hai
kanTon ka KHun hi to hai shayad gulab mein

pure kahan hue mere arman gunah ke
kya KHak dil lagega abhi se sawab mein

bedariyon ki tab na hum la sake 'habib'
guzri hayat ek musalsal se KHwab mein


Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 77) Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+