Subscribe to our newsletter and get our newest updates

JaiKrishn Chaudhri Habeeb

  • Ghazal


aariz ashkon se tere tar nahin dekhe jate


aariz ashkoñ se tire tar nahīñ dekhe jaate
ḳhaak meñ rulte ye gauhar nahīñ dekhe jaate

dekh saktā huuñ zamāne kī badaltī nazreñ
tere badle hue tevar nahīñ dekhe jaate

aa.ina bhī ruḳh-e-raushan ke muqābil na rahe
ham se koī tire ham-sar nahīñ dekhe jaate

dil ke sāgar meñ jo har shām-o-sahar uThte haiñ
vo talātum kabhī bāhar nahīñ dekhe jaate

muskurāte hue chehre pe nazar sab kī paḌī
zaḳhm dil ke magar aksar nahīñ dekhe jaate

husn ke jalve jo dekhe tire dīvāne ne
hosh vāloñ se vo aksar nahīñ dekhe jaate

qadr kar qadr mire zauq-e-nazar kī saaqī
sab hasīñ yuuñ to mukarrar nahīñ dekhe jaate

mai-kadā apnā hai aur bāda-o-sāqī apne
ġhair ke haath meñ sāġhar nahīñ dekhe jaate

ye hasīñ vādī-o-dariyā gul-o-gulzār 'habīb'
bin tire mujh se ye manzar nahīñ dekhe jaate

aariz ashkon se tere tar nahin dekhe jate
KHak mein rulte ye gauhar nahin dekhe jate

dekh sakta hun zamane ki badalti nazren
tere badle hue tewar nahin dekhe jate

aaina bhi ruKH-e-raushan ke muqabil na rahe
hum se koi tere ham-sar nahin dekhe jate

dil ke sagar mein jo har sham-o-sahar uThte hain
wo talatum kabhi bahar nahin dekhe jate

muskuraate hue chehre pe nazar sab ki paDi
zaKHm dil ke magar aksar nahin dekhe jate

husn ke jalwe jo dekhe tere diwane ne
hosh walon se wo aksar nahin dekhe jate

qadr kar qadr mere zauq-e-nazar ki saqi
sab hasin yun to mukarrar nahin dekhe jate

mai-kada apna hai aur baada-o-saqi apne
ghair ke hath mein saghar nahin dekhe jate

ye hasin wadi-o-dariya gul-o-gulzar 'habib'
bin tere mujh se ye manzar nahin dekhe jate


Source: Author : جے کرشن چودھری حبیب Publication : جے کرشن چودھری حبیب

Leave a comment

+