Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahanzeb Sahir

  • Ghazal


hawa mein tair rahe hain sahab miTTi ke


havā meñ tair rahe haiñ sahāb miTTī ke
zamīñ pe ā.eñge ik din azaab miTTī ke

mujhe to is se ka.ī aadmī banāne the
parind bhī na bane dastiyāb miTTī ke

falak se nuur kī sūrat savāl utre the
diye zamīn ne lekin javāb miTTī ke

ye kis jahān meñ mujh ko gumān le aayā
ubhar rahe haiñ yahāñ āftāb miTTī ke

phir ek roz use chaak par utārā gayā
phir us ke ba.ad hue din ḳharāb miTTī ke

kiye ga.e the hazāroñ hī tajrabāt magar
badan rahe haiñ faqat kāmyāb miTTī ke

ye us ke naqsh kaf-e-pā haiñ aur lagte haiñ
zamīñ pe jaise khile hoñ gulāb miTTī ke

kisī ke vāste sāhir charāġh the lekin
havā ke haath pe rakkhe the ḳhvāb miTTī ke

hawa mein tair rahe hain sahab miTTi ke
zamin pe aaenge ek din azab miTTi ke

mujhe to is se kai aadmi banane the
parind bhi na bane dastiyab miTTi ke

falak se nur ki surat sawal utre the
diye zamin ne lekin jawab miTTi ke

ye kis jahan mein mujh ko guman le aaya
ubhar rahe hain yahan aaftab miTTi ke

phir ek roz use chaak par utara gaya
phir us ke baad hue din KHarab miTTi ke

kiye gae the hazaron hi tajrabaat magar
badan rahe hain faqat kaamyab miTTi ke

ye us ke naqsh kaf-e-pa hain aur lagte hain
zamin pe jaise khile hon gulab miTTi ke

kisi ke waste sahir charagh the lekin
hawa ke hath pe rakkhe the KHwab miTTi ke


Leave a comment

+