tū mere saath hathelī uThā nikal aa.e
koī duā na sahī bad-duā nikal aa.e
kabhī-kabhār use chuum leñ to mumkin hai
hamāre muñh se bhī shukr-e-ḳhudā nikal aa.e
ḳhabar kī taak meñ baiThe hue to chāheñge
kisī tarah se koī vāqi.a nikal aa.e
yahī to dukh hai qabīla bhī ḳhāndān thā ek
magar mizāj hī apne judā nikal aa.e
mare huoñ kī talāshī meñ ho bhī saktā hai
kisī kī jeb se us kā pata nikal aa.e
uThā rahā huuñ yahī soch kar ziyāñ pe ziyāñ
kisī kī ḳhair kisī kā bhalā nikal aa.e
mujhe ḳhabar hai ki ye log lauT jā.eñge
agar yahāñ se koī rāsta nikal aa.e
nayā safar ho mubārak magar karoge kyā
vahāñ bhī aisī hī āb-o-havā nikal aa.e
nikal rahā huuñ maiñ us dil se is tarah 'sāhir'
ki jaise kaaT ke qaidī sazā nikal aa.e
tu mere sath hatheli uTha nikal aae
koi dua na sahi bad-dua nikal aae
kabhi-kabhaar use chum len to mumkin hai
hamare munh se bhi shukr-e-KHuda nikal aae
KHabar ki tak mein baiThe hue to chahenge
kisi tarah se koi waqia nikal aae
yahi to dukh hai qabila bhi KHandan tha ek
magar mizaj hi apne juda nikal aae
mare huon ki talashi mein ho bhi sakta hai
kisi ki jeb se us ka pata nikal aae
uTha raha hun yahi soch kar ziyan pe ziyan
kisi ki KHair kisi ka bhala nikal aae
mujhe KHabar hai ki ye log lauT jaenge
agar yahan se koi rasta nikal aae
naya safar ho mubarak magar karoge kya
wahan bhi aisi hi aab-o-hawa nikal aae
nikal raha hun main us dil se is tarah 'sahir'
ki jaise kaT ke qaidi saza nikal aae
Leave a comment