Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


chehra lala-rang hua hai mausam-e-ranj-o-malal ke baad


chehra lāla-rañg huā hai mausam-e-ranj-o-malāl ke baad
ham ne jiine kā gur jaanā zahr ke istimāl ke baad

kis ko ḳhabar thī muḳhtārī meñ hoñge vo itne majbūr
ham apne se sharminda haiñ un se arz-e-hāl ke baad

apne sivā apne rishte meñ aur bhī kuchh duniyā.eñ thiiñ
ham ne apnā haal likkhā lekin dīgar ahvāl ke baad

āñkheñ yuuñ hī bhiig ga.iiñ kyā dekh rahe ho āñkhoñ meñ
baiTho sāhab kaho suno kuchh mile ho kitne saal ke baad

toḌe kitne ā.īne aur chhān liye kitne āfāq
koī na manzar aañkh meñ Thahrā us ke aks-e-jamāl ke baad

naqsh-garī kā buutā ho to dhuup chhāñv meñ rañg bahut
chehra ḳhud ban jā.egā teḌhī-meḌhī ashkāl ke baad

chehra lala-rang hua hai mausam-e-ranj-o-malal ke baad
hum ne jine ka gur jaana zahr ke istimal ke baad

kis ko KHabar thi muKHtari mein honge wo itne majbur
hum apne se sharminda hain un se arz-e-haal ke baad

apne siwa apne rishte mein aur bhi kuchh duniyaen thin
hum ne apna haal likkha lekin digar ahwal ke baad

aankhen yun hi bhig gain kya dekh rahe ho aankhon mein
baiTho sahab kaho suno kuchh mile ho kitne sal ke baad

toDe kitne aaine aur chhan liye kitne aafaq
koi na manzar aankh mein Thahra us ke aks-e-jamal ke baad

naqsh-gari ka buta ho to dhup chhanw mein rang bahut
chehra KHud ban jaega teDhi-meDhi ashkal ke baad


Leave a comment

+