Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahanzeb Sahir

  • Ghazal


ye bebasi to umuman hi sath hoti hai


ye bebasī to umūman hī saath hotī hai
hamāre sāmne jab us kī zaat hotī hai

har ek baat ki jis meñ tumhārā zikr nahīñ
vo jaise dūsre maslak kī baat hotī hai

hamāre gaañv meñ sūraj ġhurūb ho ki na ho
kisī ke aañkh lagāne se raat hotī hai

mire hurūf mirā zabt noch khāte haiñ
tire ḳhayāl kī jab vārdāt hotī hai

ajab tarah se maiñ sab ko pachhāḌtā huuñ magar
ajab tarah se hamesha hī maat hotī hai

ye ḳhāmushī hai tirī aañkh kī fusūñ-kārī
ye lafz tere laboñ kī zakāt hotī hai

bas itnā soch ke 'sāhir' maiñ us se kahtā nahīñ
ki us ke dhyān meñ shāyad vo baat hotī hai

ye bebasi to umuman hi sath hoti hai
hamare samne jab us ki zat hoti hai

har ek baat ki jis mein tumhaara zikr nahin
wo jaise dusre maslak ki baat hoti hai

hamare ganw mein suraj ghurub ho ki na ho
kisi ke aankh lagane se raat hoti hai

mere huruf mera zabt noch khate hain
tere KHayal ki jab wardat hoti hai

ajab tarah se main sab ko pachhaDta hun magar
ajab tarah se hamesha hi mat hoti hai

ye KHamushi hai teri aankh ki fusun-kari
ye lafz tere labon ki zakat hoti hai

bas itna soch ke 'sahir' main us se kahta nahin
ki us ke dhyan mein shayad wo baat hoti hai


Leave a comment

+