vaqt ke saath na.ī soch meñ Dhal jaate haiñ
ham vo sikke haiñ jo har daur meñ chal jaate haiñ
itne mānūs hue mujh se mire ghar ke charāġh
shaam hote hī mujhe dekh ke jal jaate haiñ
dekh letā huuñ jo kuchh der tirī āñkhoñ ko
terī āñkhoñ se mire ḳhvāb badal jaate haiñ
ik takalluf meñ lihāfoñ kā sahārā le kar
āstīnoñ meñ chhupe saañp bhī pal jaate haiñ
vaqt kab haath se jaatā hai kisī ke 'sāhir'
vaqt ke haath se ham log nikal jaate haiñ
waqt ke sath nai soch mein Dhal jate hain
hum wo sikke hain jo har daur mein chal jate hain
itne manus hue mujh se mere ghar ke charagh
sham hote hi mujhe dekh ke jal jate hain
dekh leta hun jo kuchh der teri aankhon ko
teri aankhon se mere KHwab badal jate hain
ek takalluf mein lihafon ka sahaara le kar
aastinon mein chhupe sanp bhi pal jate hain
waqt kab hath se jata hai kisi ke 'sahir'
waqt ke hath se hum log nikal jate hain
Leave a comment