Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahanzeb Sahir

  • Ghazal


kisi ke dukh pe agar hum malal karte hain


kisī ke dukh pe agar ham malāl karte haiñ
ajiib log haiñ ulTā savāl karte haiñ

kabhī kabhī to use phūñkne ko jī chāhe
vo ghar ki jis kī bahut dekh bhaal karte haiñ

tumhāre saath nahīñ mas.ala ye shukr karo
jo tum ko dekh ke sāñseñ bahāl karte haiñ

tumheñ bikharte hue phuul achchhe lagte the
so apnī zaat ko ham pā.emāl karte haiñ

bhalā ho shahr-e-sitamgar tire makīnoñ kā
ye marne vāloñ kā kitnā ḳhayāl karte haiñ

tumhārā hijr ġhanīmat hai aise mausam meñ
tumhāre vasl ke lamhe niDhāl karte haiñ

vo jin ko Thiik se aatā nahīñ hai kaam koī
kamāl hai ki vo 'sāhir' kamāl karte haiñ

kisi ke dukh pe agar hum malal karte hain
ajib log hain ulTa sawal karte hain

kabhi kabhi to use phunkne ko ji chahe
wo ghar ki jis ki bahut dekh bhaal karte hain

tumhaare sath nahin masala ye shukr karo
jo tum ko dekh ke sansen bahaal karte hain

tumhein bikharte hue phul achchhe lagte the
so apni zat ko hum paemal karte hain

bhala ho shahr-e-sitamgar tere makinon ka
ye marne walon ka kitna KHayal karte hain

tumhaara hijr ghanimat hai aise mausam mein
tumhaare wasl ke lamhe niDhaal karte hain

wo jin ko Thik se aata nahin hai kaam koi
kamal hai ki wo 'sahir' kamal karte hain


Leave a comment

+