Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahanzeb Sahir

  • Ghazal


aasman khinch ke dharti se mila sakta hai


āsmāñ khīñch ke dhartī se milā saktā hai
merī jānib vo kabhī haath baḌhā saktā hai

shāh-zādī jo kabūtar hai tire hāthoñ meñ
do qabīloñ ko tasādum se bachā saktā hai

apne kāñdhoñ se utārā hī nahīñ zād-e-safar
phir se hijrat kā mujhe hukm bhī aa saktā hai

chāhtā hai jo mohabbat meñ tarāmīm na.ī
merī āvāz meñ āvāz milā saktā hai

band kamre meñ hai tanhā.ī kahāñ tak merī
khiḌkiyāñ khol ke dekhā bhī to jā saktā

koī kitnā bhī ho kam-zarf-o-gunahgār magar
ek pyāse ko vo paanī to pilā saktā hai

is liye ba.ad meñ uTThā huuñ maiñ sab se 'sāhir'
vo ishāre se mujhe paas bulā saktā hai

aasman khinch ke dharti se mila sakta hai
meri jaanib wo kabhi hath baDha sakta hai

shah-zadi jo kabutar hai tere hathon mein
do qabilon ko tasadum se bacha sakta hai

apne kandhon se utara hi nahin zad-e-safar
phir se hijrat ka mujhe hukm bhi aa sakta hai

chahta hai jo mohabbat mein taramim nai
meri aawaz mein aawaz mila sakta hai

band kamre mein hai tanhai kahan tak meri
khiDkiyan khol ke dekha bhi to ja sakta

koi kitna bhi ho kam-zarf-o-gunahgar magar
ek pyase ko wo pani to pila sakta hai

is liye baad mein uTTha hun main sab se 'sahir'
wo ishaare se mujhe pas bula sakta hai


Leave a comment

+