niiñd se mujh ko jagātā hai chalā jaatā hai
vo mire ḳhvāb meñ aatā hai chalā jaatā hai
aur meñ Tek haTātā nahīñ darvāze se
ishq āvāz lagātā hai chalā jaatā hai
chheḌ vo raag lahū aañkh se nikle dil kā
to bhī kyā giit sunātā hai chalā jaatā hai
merā kirdār kahānī meñ faqat itnā hai
koī rotā huā aatā hai chalā jaatā hai
roz-e-avval kā thakā haarā musāfir ik din
bojh kāñdhoñ se girātā hai chalā jaatā hai
ek tabqa to ka.ī nasl se is duniyā se
ḳhvāb āñkhoñ meñ sajātā hai chalā jaatā hai
tujh ko ma.alūm nahīñ terī talab kā lamha
kitnī sadiyoñ ko miTātā hai chalā jaatā hai
jis tarah se ye zamīñ ghuum rahī hai sāhir
baat aise vo ghumātā hai chalā jaatā hai
nind se mujh ko jagata hai chala jata hai
wo mere KHwab mein aata hai chala jata hai
aur mein Tek haTata nahin darwaze se
ishq aawaz lagata hai chala jata hai
chheD wo rag lahu aankh se nikle dil ka
to bhi kya git sunata hai chala jata hai
mera kirdar kahani mein faqat itna hai
koi rota hua aata hai chala jata hai
roz-e-awwal ka thaka haara musafir ek din
bojh kandhon se giraata hai chala jata hai
ek tabqa to kai nasl se is duniya se
KHwab aankhon mein sajata hai chala jata hai
tujh ko malum nahin teri talab ka lamha
kitni sadiyon ko miTata hai chala jata hai
jis tarah se ye zamin ghum rahi hai sahir
baat aise wo ghumata hai chala jata hai
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Javed Naseem
Leave a comment