Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahangeer nayab

  • Ghazal


dil se nikal yas ki zinda hun main abhi


dil se nikāl yaas ki zinda huuñ maiñ abhī
hotā hai kyuuñ udaas ki zinda huuñ maiñ abhī

māyūsiyoñ kī qaid se ḳhud ko nikāl kar
aa jaao mere paas ki zinda huuñ maiñ abhī

aa kar kabhī tū diid se sairāb kar mujhe
martī nahīñ hai pyaas ki zinda huuñ maiñ abhī

mehr-o-vafā ḳhulūs-o-mohabbat gudāz dil
sab kuchh hai mere paas ki zinda huuñ maiñ abhī

lauTeñge tere aate hī phir din bahār ke
rahtī hai dil meñ aas ki zinda huuñ maiñ

'nāyāb' shāḳh-e-chashm meñ khilte haiñ ab bhī ḳhvāb
sach hai tirā qayās ki zinda huuñ maiñ abhī

dil se nikal yas ki zinda hun main abhi
hota hai kyun udas ki zinda hun main abhi

mayusiyon ki qaid se KHud ko nikal kar
aa jao mere pas ki zinda hun main abhi

aa kar kabhi tu did se sairab kar mujhe
marti nahin hai pyas ki zinda hun main abhi

mehr-o-wafa KHulus-o-mohabbat gudaz dil
sab kuchh hai mere pas ki zinda hun main abhi

lauTenge tere aate hi phir din bahaar ke
rahti hai dil mein aas ki zinda hun main

'nayab' shaKH-e-chashm mein khilte hain ab bhi KHwab
sach hai tera qayas ki zinda hun main abhi


Leave a comment

+