Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


mera qalam mere jazbaat mangne wale


mirā qalam mire jazbāt māñgne vaale
mujhe na maañg mirā haath māñgne vaale

ye log kaise achānak amiir ban baiThe
ye sab the bhiik mire saath māñgne vaale

tamām gaañv tire bholpan pe hañstā hai
dhueñ ke abr se barsāt māñgne vaale

nahīñ hai sahl use kaaT lenā āñkhoñ meñ
kuchh aur maañg mirī raat māñgne vaale

kabhī basant meñ pyāsī jaḌoñ kī chīḳh bhī sun
luTe shajar se hare paat māñgne vaale

tū apne dasht meñ pyāsā mare to behtar hai
samundaroñ se ināyāt māñgne vaale

mera qalam mere jazbaat mangne wale
mujhe na mang mera hath mangne wale

ye log kaise achanak amir ban baiThe
ye sab the bhik mere sath mangne wale

tamam ganw tere bholpan pe hansta hai
dhuen ke abr se barsat mangne wale

nahin hai sahl use kaT lena aankhon mein
kuchh aur mang meri raat mangne wale

kabhi basant mein pyasi jaDon ki chiKH bhi sun
luTe shajar se hare pat mangne wale

tu apne dasht mein pyasa mare to behtar hai
samundaron se inayat mangne wale

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Zafar Gorakhpuri

Leave a comment

+