Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahangeer nayab

  • Ghazal


meri nazar mein uski tab-o-tab aur hai


merī nazar meñ us kī tab-o-tāb aur hai
kahte haiñ jis ko gauhar-e-nāyāb aur hai

sarshār jis se ruuh ho vo giit hai judā
jo taar dil kā chheḌe vo mizrāb aur hai

maqsūd jo mujhe hai ye ta.abīr vo nahīñ
jo dekhtī hai aañkh mirī ḳhvāb aur hai

khulte haiñ jis se logoñ pe asrār-e-be-ḳhudī
merī kitāb-e-zīst kā vo baab aur hai

hai zehn zindagī ke masā.il se muntashir
aur dil kisī ke ishq meñ betāb aur hai

apnī jagah pe donoñ hī ḳhush-rañg haiñ magar
tā.ūs aur chiiz hai surḳhāb aur hai

ye vaar bhī hadaf se kahīñ duur jā girā
tarkash meñ tiir kyā koī 'nāyāb' aur hai

meri nazar mein us ki tab-o-tab aur hai
kahte hain jis ko gauhar-e-nayab aur hai

sarshaar jis se ruh ho wo git hai juda
jo tar dil ka chheDe wo mizrab aur hai

maqsud jo mujhe hai ye tabir wo nahin
jo dekhti hai aankh meri KHwab aur hai

khulte hain jis se logon pe asrar-e-be-KHudi
meri kitab-e-zist ka wo bab aur hai

hai zehn zindagi ke masail se muntashir
aur dil kisi ke ishq mein betab aur hai

apni jagah pe donon hi KHush-rang hain magar
taus aur chiz hai surKHab aur hai

ye war bhi hadaf se kahin dur ja gira
tarkash mein tir kya koi 'nayab' aur hai


Leave a comment

+