Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahangeer nayab

  • Ghazal


mushkil mein Dalta hun main apne wajud ko


mushkil meñ Dāltā huuñ maiñ apne vajūd ko
āsāñ banā rahā huuñ maiñ apne vajūd ko

takmīl chāhtā huuñ maiñ apne vajūd kī
har ruḳh se dekhtā huuñ maiñ apne vajūd ko

donoñ ke darmiyān kahīñ kuchh hai mushtarak
so tujh meñ DhūñDhtā huuñ maiñ apne vajūd ko

kar de na vaar mujh pe mirā maiñ ye soch kar
ḳhud se bachā rahā huuñ maiñ apne vajūd ko

apne vajūd se nahīñ maiñ mutma.in abhī
har lamha māñjhtā huuñ maiñ apne vajūd ko

rañj-o-alam kī bhaTTī meñ 'nāyāb' Daal kar
kundan banā rahā huuñ maiñ apne vajūd ko

mushkil mein Dalta hun main apne wajud ko
aasan bana raha hun main apne wajud ko

takmil chahta hun main apne wajud ki
har ruKH se dekhta hun main apne wajud ko

donon ke darmiyan kahin kuchh hai mushtarak
so tujh mein DhunDhta hun main apne wajud ko

kar de na war mujh pe mera main ye soch kar
KHud se bacha raha hun main apne wajud ko

apne wajud se nahin main mutmain abhi
har lamha manjhta hun main apne wajud ko

ranj-o-alam ki bhaTTi mein 'nayab' Dal kar
kundan bana raha hun main apne wajud ko


Leave a comment

+