Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahangeer nayab

  • Ghazal


achchha hun ya bura hun mujhe kuchh nahin pata


achchhā huuñ yā burā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
nazroñ meñ tere kyā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā

kyā tujh meñ DhūñDhtā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā
maiñ terā ho gayā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā

āgāh huuñ maiñ manzil-e-maqsūd se magar
kis samt jā rahā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā

āvāz de rahā hai mujhe kaun baar baar
kis ke liye rukā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā

itnā mujhe patā hai tumheñ huuñ aziiz maiñ
lekin tumhārā kyā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā

dīmak kī tarah chaaT rahā hai jo kaun hai
kis ġham meñ ghul rahā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā

maiñ ḳhuub jāntā huuñ ye manzil nahīñ mirī
aa kar kahāñ rukā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā

rahtā huuñ kis ḳhayāl meñ 'nāyāb' in dinoñ
kyā kyā maiñ sochtā huuñ mujhe kuchh nahīñ patā

achchha hun ya bura hun mujhe kuchh nahin pata
nazron mein tere kya hun mujhe kuchh nahin pata

kya tujh mein DhunDhta hun mujhe kuchh nahin pata
main tera ho gaya hun mujhe kuchh nahin pata

aagah hun main manzil-e-maqsud se magar
kis samt ja raha hun mujhe kuchh nahin pata

aawaz de raha hai mujhe kaun bar bar
kis ke liye ruka hun mujhe kuchh nahin pata

itna mujhe pata hai tumhein hun aziz main
lekin tumhaara kya hun mujhe kuchh nahin pata

dimak ki tarah chaT raha hai jo kaun hai
kis gham mein ghul raha hun mujhe kuchh nahin pata

main KHub jaanta hun ye manzil nahin meri
aa kar kahan ruka hun mujhe kuchh nahin pata

rahta hun kis KHayal mein 'nayab' in dinon
kya kya main sochta hun mujhe kuchh nahin pata


Leave a comment

+