Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahan Ara Tabassum

  • Ghazal


sar pe ab saeban nahin pyare


sar pe ab sā.ebāñ nahīñ pyāre
so kahīñ bhī amaañ nahīñ pyāre

kaun detā hai ye sadā.eñ agar
apnā koī vahāñ nahīñ pyāre

manzil-e-ishq ho nasīb na ho
ye safar rā.egāñ nahīñ pyāre

na rahā ḳhud pe e'tibār mujhe
tujh se to bad-gumāñ nahīñ pyāre

kār-e-dil hai so is liye is meñ
fikr-e-sūd-o-ziyāñ nahīñ pyāre

sar pe ab saeban nahin pyare
so kahin bhi aman nahin pyare

kaun deta hai ye sadaen agar
apna koi wahan nahin pyare

manzil-e-ishq ho nasib na ho
ye safar raegan nahin pyare

na raha KHud pe e'tibar mujhe
tujh se to bad-guman nahin pyare

kar-e-dil hai so is liye is mein
fikr-e-sud-o-ziyan nahin pyare


Leave a comment

+