Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jahan Ara Tabassum

  • Ghazal


umr bhar jis ki mohabbat mein giraftar rahi


umr bhar jis kī mohabbat meñ giraftār rahī
us ko dīvār kiyā ḳhud pas-e-dīvār rahī

aañkh lag jaa.e to phir aañkh kahāñ lagtī hai
maiñ agar so bhī ga.ī ḳhvāb meñ bedār rahī

tīrgī se mirā samjhauta nahīñ ho saktā
maiñ hamesha se charāġhoñ kī taraf-dār rahī

bāġhbānoñ ko pashemānī isī baat kī hai
maiñ ḳhizāoñ ke dinoñ meñ bhī samar-bār rahī

tū to kam-hausla mat jaan mujhe ai duniyā
tujh se to har ghaḌī maiñ barsar-e-paikār rahī

mere chehre pe 'tabassum' kī haqīqat na khulī
maiñ zamāne ke liye kitnī pur-asrār rahī

umr bhar jis ki mohabbat mein giraftar rahi
us ko diwar kiya KHud pas-e-diwar rahi

aankh lag jae to phir aankh kahan lagti hai
main agar so bhi gai KHwab mein bedar rahi

tirgi se mera samjhauta nahin ho sakta
main hamesha se charaghon ki taraf-dar rahi

baghbanon ko pashemani isi baat ki hai
main KHizaon ke dinon mein bhi samar-bar rahi

tu to kam-hausla mat jaan mujhe ai duniya
tujh se to har ghaDi main barsar-e-paikar rahi

mere chehre pe 'tabassum' ki haqiqat na khuli
main zamane ke liye kitni pur-asrar rahi


Leave a comment

+