Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


beach manjdhaar diya baDh ke sahaara kis ne


beach mañjdhār diyā baḌh ke sahārā kis ne
ham to tanhā the hameñ paar utārā kis ne

zindagī tujh ko shab-o-roz ke dozaḳh meñ tire
jis tarah ham ne guzārā hai guzārā kis ne

haal ab ye ki añdherā mire ḳhuuñ kā pyāsā
rakh diyā hai mirī muTThī meñ sitāra kis ne

sar-burīda koī bachcha mire andar har roz
pūchhtā rahtā hai mujh se mujhe maarā kis ne

paañv lag jaa.eñ tasavvur ko to ham chal nikleñ
ham ko ḳhvāboñ kī guzargah se pukārā kis ne

ishq nuqsān kā saudā thā 'zafar' mere ba.ad
jaane bardāsht kiyā merā ḳhasāra kis ne

beach manjdhaar diya baDh ke sahaara kis ne
hum to tanha the hamein par utara kis ne

zindagi tujh ko shab-o-roz ke dozaKH mein tere
jis tarah hum ne guzara hai guzara kis ne

haal ab ye ki andhera mere KHun ka pyasa
rakh diya hai meri muTThi mein sitara kis ne

sar-burida koi bachcha mere andar har roz
puchhta rahta hai mujh se mujhe mara kis ne

panw lag jaen tasawwur ko to hum chal niklen
hum ko KHwabon ki guzargah se pukara kis ne

ishq nuqsan ka sauda tha 'zafar' mere baad
jaane bardasht kiya mera KHasara kis ne


Leave a comment

+