mirā vajūd mire e'tibār jaisā hai
kabhī visāl kabhī intizār jaisā hai
mujhe to us kī masīhā.ī par thā naaz bahut
magar vo ḳhud hī baḌā be-qarār jaisā hai
mire zamīr pe hai bojh mere maazī kā
jo merī zaat pe ab tak udhār jaisā hai
ajiib ek muamma hai ishq bhī 'jagdīsh'
kabhī ye jiit kabhī sirf haar jaisā hai
yahāñ na koī irāda na ārzūeñ haiñ
mirā junūñ mire dil ke ġhubār jaisā hai
mera wajud mere e'tibar jaisa hai
kabhi visal kabhi intizar jaisa hai
mujhe to us ki masihai par tha naz bahut
magar wo KHud hi baDa be-qarar jaisa hai
mere zamir pe hai bojh mere mazi ka
jo meri zat pe ab tak udhaar jaisa hai
ajib ek muamma hai ishq bhi 'jagdish'
kabhi ye jit kabhi sirf haar jaisa hai
yahan na koi irada na aarzuen hain
mera junun mere dil ke ghubar jaisa hai
Leave a comment