tumhārā zikr mirī dāstān ban baiThā
maiñ ek zarra thā aur āsmān ban baiThā
savāl karte haiñ rah-rah ke mujh se lail-o-nahār
maiñ apnī zaat se kyuuñ bad-gumān ban baiThā
vo jis ne mujh ko nazar bhar ke bhī nahīñ dekhā
vo shaḳhs mere fasāne kī jaan ban baiThā
ḳhayāl-e-nau se ulajhtā huā mirā ehsās
mirī ġhazal ke safar kā bayān ban baiThā
maiñ jism huuñ ki koī ruuh yā faqat ehsās
mirā vajūd ḳhud ik imtihān ban baiThā
kabhī jo us ko tasavvur meñ lā ke dekh liyā
har ik ḳhayāl mirā gulsitān ban baiThā
tumhaara zikr meri dastan ban baiTha
main ek zarra tha aur aasman ban baiTha
sawal karte hain rah-rah ke mujh se lail-o-nahaar
main apni zat se kyun bad-guman ban baiTha
wo jis ne mujh ko nazar bhar ke bhi nahin dekha
wo shaKHs mere fasane ki jaan ban baiTha
KHayal-e-nau se ulajhta hua mera ehsas
meri ghazal ke safar ka bayan ban baiTha
main jism hun ki koi ruh ya faqat ehsas
mera wajud KHud ek imtihan ban baiTha
kabhi jo us ko tasawwur mein la ke dekh liya
har ek KHayal mera gulsitan ban baiTha
Leave a comment