Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jagdeesh Parkash

  • Ghazal


basarat kho gai hai raushni mein


basārat kho ga.ī hai raushnī meñ
maza aane lagā hai tīrgī meñ

sarāboñ se sarāboñ ke safar tak
taḌap baḌhtī ga.ī hai tishnagī meñ

ye Derā jogiyoñ kā hai yahīñ par
milegā kho diyā jo zindagī meñ

muḳhātib tum se huuñ maiñ kuchh to bolo
kaTegī raat kyā bechārgī meñ

duā ke ba.ad patthar bhī mileñge
yahī to lutf hai dīvāngī meñ

tirī chāhat meñ jo kuchh pā liyā hai
nahīñ hāsil huā vo bandagī meñ

nahīñ pahchāntā mujh ko mirā ghar
banā huuñ ajnabī āvārgī meñ

basarat kho gai hai raushni mein
maza aane laga hai tirgi mein

sarabon se sarabon ke safar tak
taDap baDhti gai hai tishnagi mein

ye Dera jogiyon ka hai yahin par
milega kho diya jo zindagi mein

muKHatib tum se hun main kuchh to bolo
kaTegi raat kya bechaargi mein

dua ke baad patthar bhi milenge
yahi to lutf hai diwangi mein

teri chahat mein jo kuchh pa liya hai
nahin hasil hua wo bandagi mein

nahin pahchanta mujh ko mera ghar
bana hun ajnabi aawargi mein


Leave a comment

+