Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jagdeesh Parkash

  • Ghazal


jo bhi hona tha wo hua achchha


jo bhī honā thā vo huā achchhā
tū hai achchhā tirā ḳhudā achchhā

maiñ sarāboñ meñ kho gayā thā kahīñ
na safar thā na fāsla achchhā

shahr terā tujhe mubārak ho
mujh ko jañgal kā rāsta achchhā

kyā maze kī kitāb hai ye dil
jis ne bhī paḌh liyā lagā achchhā

na sahī vasl zikr-e-vasl to thā
koī lamha to mil gayā achchhā

facebōk par kisī kā mil jaanā
ban gayā ek silsila achchhā

is se yuuñ duur mat raho 'jagdīsh'
kuchh na kahne se to gila achchhā

jo bhi hona tha wo hua achchha
tu hai achchha tera KHuda achchha

main sarabon mein kho gaya tha kahin
na safar tha na fasla achchha

shahr tera tujhe mubarak ho
mujh ko jangal ka rasta achchha

kya maze ki kitab hai ye dil
jis ne bhi paDh liya laga achchha

na sahi wasl zikr-e-wasl to tha
koi lamha to mil gaya achchha

facebook par kisi ka mil jaana
ban gaya ek silsila achchha

is se yun dur mat raho 'jagdish'
kuchh na kahne se to gila achchha


Leave a comment

+